Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan

Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan

Behtareen Biwi Ki Pehchan

✓ Jo Apne Shohar ki farmabardari aur Khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.

✓ Jo Apne Shohar ke tamam Huqooq ada karne me kotahi na karen.

✓ Jo Apne Shohar ki Khubiyon per Nazar rakhe aur uske Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.

✓ Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.

✓ Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.

✓ Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.

✓ Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.

✓ Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.

✓ Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.

✓ Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah aur Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.

✓ Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.

✓ Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.


Behtareen Shohar ki Pehchan

✓ Jo Apni Biwi ke sath narmi, Khush Akhalqi aur Husne Sulooq ke saath pesh aaye.

✓ Jo Apni Biwi ke Huqooq ada karne me kisi kism ki Gaflat aur kotahi na kare.

✓ Jo Apni Biwi ka iss tarah ho kar rahen ke kisi Ajnabi Aurat per nigah na dale.

✓ Jo Apni Biwi ko apne Aish-O-Ishrat me barabar samjhe.

✓ Jo Apni Biwi par kabhi Zulm aur kisi Qism ki bhi Jyadati na kare.

✓ Jo Apni Biwi ki tang mizaji aur bad akhlaqi par Sabr kare.

✓ Jo Apni Biwi ki Khubiyo par Nazar rakhe aur Mamuli Galatiyon ko nazar andaz kare.

✓ Jo Apni Biwi ki Musibaton, Bimariyon aur Ranj-o-Gam me Diljoi aur wafadari ka saboot de.

✓ Jo Apni Biwi ko parde me rakh kar Izzat-o-Aabru ki hifazat kare.

✓ Jo Apni Biwi ko Zillat-o-Ruswayi se bachaye rakhe.

✓ Jo Apni Biwi ko Deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.

✓ Jo Apni Biwi ke Akhrajaat (kharche) me bakhili aur kanjoosi na kare.

✓ Jo Apni Biwi par iss tarah taabey me (Control) rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.

♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat Hum tamam ko kehne sun'ne se jyada amal ki toufiq de. Ameen!

# Related Post

  1. Biwi ke Huqooq Qurano Sunnat ki Roshni me
  2. Behatreen Aurat ki Sifat aur Pehchan
  3. Jannati Aurat ki Pehchan aur Khubi
  4. Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan
  5. Nek Aur Farmabardar Aurat Ka Silaah
  6. Aurto ki Jannat ya Dozakh Unka Shohar hai
  7. Shohar ki Napasandida baato se doori Ikhtiyar kare
  8. Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam
  9. Shohar ki Nashukri Karna ek tarha ka kufr hai
  10. Apne Shohar ke siwa dusre Mard ka zikr na kare
  11. Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ?
  12. Kya Biwi Shohar ko Zakaat de sakti hai?
  13. Aurat ke liye Shirk ke baad sabse bada Gunaah
  14. Aurat ke liye Parde ka Hukm Qurano Sunnat ki Roshni me
  15. Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka Hashr
Mohammad Salim

Founder, Designer & Developer of Ummat-e-Nabi.com | Worlds first Largest Islamic blog in Roman Urdu.

Post a Comment

Previous Post Next Post