Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai?
Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai?
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
"Meri ummat ke tamam logo ke Gunaah Allah bakhsh dega, siwaye un logo ke jo Gunaah karke logo ko fakhr se bataayen ki humne ye Gunah kiya hai."
✦ Mukammal Hadees ✦
Mujahir ka Anjaam
Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya -
"Meri tamam Ummat (Tawheed parast) ko Muaf kiya jayega siway Gunaaho ko Khullam Khula karne walon ke aur Gunaaho ko Khullam Khula karne me yeh bhi Shaamil hai ke 1 Shakhs Raat ko koi (Gunaah ka) kaam kare aur is ke bawajood ke Allah ne is ke Gunah ko Chhupa diya hai, magar Subah hone par woh kehney lagey ke Aye fala! Maine kal raat fala fala bura kaam kiya tha.
Jabki Raat guzar gayi thi aur is ke Rab ne is ka Gunaah chupaye rakha, lekin jab Subah hui to woh khud Allah ke pardey ko kholney laga."
Aise Gunaah karne walo ko Mujahireen kehte hai. Yaani Gunaah ka Khullam khulla izhaar karne wale log. Jabki Yeh ek bohot badi burayi hai.
Allah Hum Sabko Hidayat de, Hume Tamam kism ki Burayi se bachaye.
Ameen Allahumma Ameen
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com