Wuzu ke baad ki Dua : Jannat ke 8 Darwaze khol diye Jate hai
Wuzu ke baad ki Dua aur Fazilat
Umar bin Khattab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo Shaksh achchi tarah Wuzu karey aur phir ye kahe ki:
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
"Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu" (Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur Rasool hain) Aise shaksh ke liye Jannat ke 8 Darwaze khol diye janyege aur wo Shaksh Jannat ke jis Darwaze se chahe dakhil ho jaye.
📕 Sunan Nasaii, Jild 1, 150-Sahih
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Tags:
Dua
Hadees
HadeeseNabwiﷺ
Jannat
Kalma
LaIlahaIllallah
PyareNabikiPyariBaatein
RomanUrdu
SunanAnNasai