Zikr Azkar ki Ahmiyat aur Fazilat

Zikr Azkar ki Ahmiyat aur Fazilat


Allah taala ka irshad hai:

          "Fadhkuroonee adhkurkum washkuroo lee wa laa takfuroon"

"Tum mujhe yaad karo, main tumhe yaad karun gaa aur tum mera shukr karo aur meri naa shukri na karo" [Surah Baqrah 2:152]

         Yaa aiyuhal ladheena aamanudh kurul-laaha dhikran kaseera

"Aye iman walo! Tum Allah ko kasrat se yaad kiya karo" [ Surah Ahzab 33:41]

          Wadh dhaakireenal laaha kaseeranw wadh dhaakiraati a-'addal laahu lahum maghfiratanw wa ajran 'azeemaa

"Aur Allah taala ko bahot yaad karne wale mard aur bahot yaad karne wali aurten, Allah taala ne un ke liye bakhshish aur bahot bada ajr tayyar kar rakha hai" [ Surah Ahzab 33:35]

          Wadhkur rabbaka fee nafsika tadharru'anw wa kheefatanw wa doonal jahri minal qawli bil ghuduwwi wal aasali wa laa takum minal ghaafileen 

"Aur (ae Nabi !) apne Rab ko apne dil men subh o shaam yaad kijiye aajizi se aur darte hue, past aur halki awaz se aur aap ghafilon men shamil na ho" [ Surah A’raaf 7:205 ]

Mohammad Salim

Founder, Designer & Developer of Ummat-e-Nabi.com | Worlds first Largest Islamic blog in Roman Urdu.

Post a Comment

Previous Post Next Post