Nazar ki Dua
Boori Nazar se bachne ki Dua
Nazar-e-Badd, Shaitan ke Humle, Har Zahreele Janwar se
aur har Nuqsan Pahunchane waliwali cheezon se bachne ki Dua
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
----- ---- ✦ ---- -----
“A’oodhu Bikalimatillahi-
Tammatti Min Kulli Shaytaanin
Wa Hammatin Wamin Kulli
‘Aynin Lammatin.”
Main panaah mangta hun Allah ki purey purey kalamat ke jariye,
har shaitan se aur har zahreele janwar se aur
har nuqsaan pahunchaney waali Nazar-e-Badd se.
----- ---- ✦ ---- -----
✦ Hadees: Buri Nazar se Bachne ki Dua ✦
۞ Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se Riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) Allah se Hussain wa Hasan (R.A.) ke liye Panah talab kiya kartey they aur farmatey they ki “Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihay Salam) bhi Ismaeel aur Ishaq (Alaihi Salam) ke liye Inhi Kalamat ke Jariye Allah ki panaah manga kartey they.
‘A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin.’”
Tarjuma: Main panaah mangta hun Allah ki purey purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsaan pahunchaney waali Nazar-e-Badd se.
📕 Sahih al-Bukhari 3371
👉 Source: Nazar ki Dua