Ghar se Nikalne ki Dua

Ghar Se Bahar Nikalte Waqt Yah Dua Padhe

Ghar se Nikalne ki Dua - 1

 بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ 

 ❝ Bismil-lah, tawakkaltu AAalal-lah,
wala hawla wala quwwata illa billah.

Allah ke naam ke sath (ghar se nikalta hu) aur
Allah hi par maine bharosa kiya.
Gunaho se bachane aur neki
karne ki taqat sirf Allah hi ki taraf se hai

📕 Abu Dawud: 4/325, Hadith:5095,
📕 Tirmizi:5/490, Hadith:3426,
📕 Sahih Tirmizi: 3/151


Daleel:

۞ Hadees: Anas bin Malik (RA) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya

“Jab Aadmi apne ghar se nikle toh ye dua parhe:  ❝Bismillahi Tawakkaltu Alallahi La Haula Wa La Quwwata Illa Billah❞ (Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai) 

tou usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan uss se door ho jata hai. aur dusra shaitan ussey kahta hai ki uss aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jis ki kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho.

📕 Abu Dawud, Vol 3, Hadith 1654


Ghar se Bahar Nikalne ki Dua - 2  

Allahumma innee aAAoothu bika an adilla aw odal, aw azilla aw ozall, aw athlima aw othlam, aw ajhala aw yujhala AAalay. ❞

(Aye Allah! Main teri panah mangta hu id baat se ki umraah ho jau ya mujhe gumrah kiya jaye, main fisal jau ya mujhe fislaya jaye, main kisi par zulm karu ya mujh par zulm kiya jaye ya main kisi par zahalat wa nadani karu ya koi mujh par zahalat wa nadani kare.)

(O Allah, I take refuge with You lest I should stray or be led astray, or slip or be tripped, or oppress or be oppressed, or behave foolishly or be treated foolishly.)(slip: i.e. to commit a sin unintentionally)

📕 Abu Dawud ; Hadith:5094,
📕 Tirmizi ; Hadith:3427,
📕 Nasai ; Hadith: 5501
📕 Ibne Majah; Hadith: 3884
📕 Sahih Tirmizi ; Hadith: 3/152,
📕 Sahih Ibne Majah: 2/336

♥ In’sha’Allah ul Azeez! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey. Ameen.


Mohammad Salim

Founder, Designer & Developer of Ummat-e-Nabi.com | Worlds first Largest Islamic blog in Roman Urdu.

Post a Comment

Previous Post Next Post